Shayari
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
تم کو آتا ہے پیار پر غصہ
مجھ کو غصے پہ پیار آتا ہے
तुम को आता है प्यार पर ग़ुस्सा
मुझ को ग़ुस्से पे प्यार आता है

aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
masjid mein bulaate hain hamein zaahid-e-naa-fahm
hotaa kuchh agar hosh to mai-khaane na jaate
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mazhab-e-ishq-o-vafaa mujh ko ye detaa hai salaah
tu jo kaafir nahin hotaa to musalmaan bhi na ho
chaahiye thi shama is taarik ghar ke vaaste
khaana-e-dil mein charaagh-e-ishq raushan ho gayaa
ho mohabbat ki khabar kuchh to khabar phir kyuun ho
ye bhi ik be-khabari hai ki khabar rakhte hain