Shayari
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
use bechain kar jaaungaa main bhi
khamoshi se guzar jaaungaa main bhi
اسے بے چین کر جاؤں گا میں بھی
خموشی سے گزر جاؤں گا میں بھی
उसे बेचैन कर जाऊँगा मैं भी
ख़मोशी से गुज़र जाऊँगा मैं भी

sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
honaa paDaa hai khugar-e-gham bhi khushi ki khair
vo mujh pe mehrbaan hain magar be-rukhi ke saath
apne hamraah khud chalaa karnaa
kaun aaegaa mat rukaa karnaa
muztarib hain maujein kyuun uTh rahe hain tufaan kyuun
kyaa kisi safine ko aarzu-e-saahil hai
giraa diyaa hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo Duub gayaa hai to duur niklegaa
main ne kyuun tark-e-taalluq ki jasaarat ki hai
tum agar ghaur karoge to pashimaan hoge
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
ai dost main khaamosh kisi Dar se nahin thaa
qaail hi tiri baat kaa andar se nahin thaa
yaa to jo naa-fahm hain vo bolte hain in dinon
yaa jinhein khaamosh rahne ki sazaa maalum hai
jahaan lab ye chup hon nazar kah rahi ho
vahaan bhi tasavvur mein kuchh zindagi ho
andheraa itnaa nahin hai ki kuchh dikhaai na de
sukut aisaa nahin hai jo kuchh sunaai na de
nazar jhuk rahi hai khamoshi hai lab par
hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai