Shayari
ye gard hai miri aankhon mein kin zamaanon ki
nae libaas bhi ab to puraane lagte hain
khabar bhi hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko
jalaane jalne mein kyaa kyaa zamaane lagte hain
خبر بھی ہے تجھے اس دفتر محبت کو
جلانے جلنے میں کیا کیا زمانے لگتے ہیں
ख़बर भी है तुझे इस दफ़्तर-ए-मोहब्बत को
जलाने जलने में क्या क्या ज़माने लगते हैं

ye gard hai miri aankhon mein kin zamaanon ki
nae libaas bhi ab to puraane lagte hain
tumhaari zaat havaala hai surkh-rui kaa
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banaate hain
teri khushbu tiraa paikar hai mire sheron mein
jaan yunhi nahin ye tarz-e-misaali meraa
meri duniyaa isi duniyaa mein kahin rahti hai
varna ye duniyaa kahaan husn-e-talab thi meraa
makaan ujaaD thaa aur laa-makaan ki khvaahish thi
so apne aap se baahar qayaam kar liyaa hai
meri barhana pusht thi koDon se sabz o surkh
gore badan pe us ke bhi niilaa nishaan thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aankh Tuk mundne de hairat-e-ishq
aisi main TikTiki se dar guzraa
rumuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huun main
kisi ko gham-zada dekhaa to ro diyaa huun main
mohabbat aap hi manzil hai apni
na jaane husn kyuun itraa rahaa hai