Shayari
mujh ko marne na diyaa sher utaare mujh par
ishq ne bas ye mire saath riaayat ki thi
idhar vo bichhDaa udhar ik sitaaraa TuuTaa phir
main aasmaan ko dekhun aur aasmaan mujhe
ادھر وہ بچھڑا ادھر اک ستارا ٹوٹا پھر
میں آسمان کو دیکھوں اور آسمان مجھے
इधर वो बिछड़ा उधर इक सितारा टूटा फिर
मैं आसमान को देखूँ और आसमान मुझे

ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai