Shayari
sach nahin hai anaaj ki qillat
yaar faaqe yahaan zamir ke hain
dikhaavaa hi karnaa hai to phir baDaa kar
tu shaair nahin khud ko aashiq kahaa kar
دکھاوا ہی کرنا ہے تو پھر بڑا کر
تو شاعر نہیں خود کو عاشق کہا کر
दिखावा ही करना है तो फिर बड़ा कर
तू शाइ'र नहीं ख़ुद को आशिक़ कहा कर

husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
azaan de ke kiyaa main ne 'ishq kaa aaghaaz
ki is safar mein bhi aakhir namaaz hoti hai
zindagi ishq-o-mohabbat se javaan hoti hai
varna be-kaif si be-taab-o-tavaan hoti hai
khalvat ho aur sharaab ho maashuq saamne
zaahid tujhe qasam hai jo tu ho to kyaa kare
teraa aashiq tere qadmon se lipaT jaaegaa
ruThne vaale tujhe aaj manaane ke liye
jaan khapaate hain gham-e-ishq mein khush khush 'aali'
kaisi lazzat kaa ye aazaar banaayaa huaa hai