Shayari
nai zindagi ke nae makr o fan
nae aadmi ki nai chaal-Dhaal
dekhoge to aaegi tumhein apni jafaa yaad
khaamosh jise paaoge khaamosh na hogaa
دیکھوگے تو آئے گی تمہیں اپنی جفا یاد
خاموش جسے پاؤگے خاموش نہ ہوگا
देखोगे तो आएगी तुम्हें अपनी जफ़ा याद
ख़ामोश जिसे पाओगे ख़ामोश न होगा

nai zindagi ke nae makr o fan
nae aadmi ki nai chaal-Dhaal
dil se uThtaa hai subh-o-shaam dhuaan
koi rahtaa hai is makaan mein abhi
sach ke saude mein na paDnaa ki khasaaraa hogaa
jo huaa haal hamaaraa so tumhaaraa hogaa
ye jitne masale hain mashghale hain sab faraaghat ke
na tum be-kaar baiThe ho na ham be-kaar baiThe hain
dete nahin sujhaai jo duniyaa ke khatt-o-khaal
aae hain tirgi mein magar raushni se ham
samjhi gai jo baat hamaari ghalat to kyaa
yaan tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vo zamaanaa bhi tumhein yaad hai tum kahte the
dost duniyaa mein nahin 'daagh' se behtar apnaa