Shayari
nai zindagi ke nae makr o fan
nae aadmi ki nai chaal-Dhaal
rahe zaraa dil-e-khun-gashta par nazar 'anjum'
usi sadaf se ajab kyaa guhar nikal aae
رہے ذرا دل خوں گشتہ پر نظر انجمؔ
اسی صدف سے عجب کیا گہر نکل آئے
रहे ज़रा दिल-ए-ख़ूँ-गश्ता पर नज़र 'अंजुम'
उसी सदफ़ से अजब क्या गुहर निकल आए

nai zindagi ke nae makr o fan
nae aadmi ki nai chaal-Dhaal
dil se uThtaa hai subh-o-shaam dhuaan
koi rahtaa hai is makaan mein abhi
sach ke saude mein na paDnaa ki khasaaraa hogaa
jo huaa haal hamaaraa so tumhaaraa hogaa
ye jitne masale hain mashghale hain sab faraaghat ke
na tum be-kaar baiThe ho na ham be-kaar baiThe hain
dete nahin sujhaai jo duniyaa ke khatt-o-khaal
aae hain tirgi mein magar raushni se ham
samjhi gai jo baat hamaari ghalat to kyaa
yaan tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
us ko dekho kabhi udaasi mein
kis balaa ki hasin lagti hai
kis tarah bhulaaein ham is shahr ke hangaame
har dard abhi baaqi hai har zakhm abhi taaza hai
kahte the match dekhne vaale pukaar ke
ustaad jaa rahe hain shab-e-gham guzaar ke