Shayari
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
apne lahu se pyaas bujhaani hai taa-hayaat
ab raaste mein koi samundar na aaegaa
اپنے لہو سے پیاس بجھانی ہے تا حیات
اب راستے میں کوئی سمندر نہ آئے گا
अपने लहू से प्यास बुझानी है ता-हयात
अब रास्ते में कोई समुंदर न आएगा

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
khushi kaa ek hi lamha thaa apni zindagi mein
sakhi aise ki vo bhi dusron ke naam kar aae
hamaari zindagi to mukhtasar si ik kahaani thi
bhalaa ho maut kaa jis ne banaa rakkhaa hai afsaana
agar hayaat hai dekheinge ek din didaar
ki maah-e-eid bhi aakhir hai in mahinon mein