Shayari
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
'shuur' tum ne khudaa jaane kyaa kiyaa hogaa
zaraa si baat ke afsaane thoDi hote hain
شعورؔ تم نے خدا جانے کیا کیا ہوگا
ذرا سی بات کے افسانے تھوڑی ہوتے ہیں
'शुऊर' तुम ने ख़ुदा जाने क्या किया होगा
ज़रा सी बात के अफ़्साने थोड़ी होते हैं

go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
zamaane ke jhamelon se mujhe kyaa
miri jaan! main tumhaaraa aadmi huun
miri hayaat hai bas raat ke andhere tak
mujhe havaa se bachaae rakho savere tak
kabhi rotaa thaa us ko yaad kar ke
ab aksar be-sabab rone lagaa huun
divaar-e-zindaan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiThaa huun
aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai