Shayari
ujaalti nahin ab mujh ko koi taariki
sanvaartaa nahin ab koi haadsa mujh ko
bikhar ke TuuT gae ham bikharti duniyaa mein
khud-aafrini kaa saudaa hamaare sar mein thaa
بکھر کے ٹوٹ گئے ہم بکھرتی دنیا میں
خود آفرینی کا سودا ہمارے سر میں تھا
बिखर के टूट गए हम बिखरती दुनिया में
ख़ुद-आफ़रीनी का सौदा हमारे सर में था

ujaalti nahin ab mujh ko koi taariki
sanvaartaa nahin ab koi haadsa mujh ko
Duboe detaa hai khud-aagahi kaa baar mujhe
main Dhaltaa nashsha huun mauj-e-tarab ubhaar mujhe
saari shafaq sameT ke suraj chalaa gayaa
ab kyaa rahaa hai mauj-e-shab-e-taar ke sivaa
kitne subuk-dil hue tujh se bichhaDne ke baad
un se bhi milnaa paDaa jin se mohabbat na thi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa