Shayari
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
sukun-e-dil nahin jis vaqt se us bazm mein aae
zaraa si chiiz ghabraahaT mein kyaa jaane kahaan rakh di
سکون دل نہیں جس وقت سے اس بزم میں آئے
ذرا سی چیز گھبراہٹ میں کیا جانے کہاں رکھ دی
सुकून-ए-दिल नहीं जिस वक़्त से उस बज़्म में आए
ज़रा सी चीज़ घबराहट में क्या जाने कहाँ रख दी

nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
khizaan kaa bhes banaa kar bahaar ne maaraa
mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne maaraa
aap apne se barhami kaisi
main nahin koi aur hai ye bhi
phir chaahe to na aanaa o aan baan vaale
jhuTaa hi vaada kar le sachchi zabaan vaale
hasraton kaa dil se qabza uTh gayaa
ghaasibon ki hukmraani khatm hai
jazb-e-nigaah-e-shoabada-gar dekhte rahe
duniyaa unhin ki thi vo jidhar dekhe rahe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ret hai suraj hai vusat hai tanhaai
lekin naan is dil ki khaam-khayaali jaae
rah gai zindagi dard ban ke
dard dil mein chhupaae chhupaae
dil jin ko DhunDhtaa hai na-jaane kahaan gae
khvaab-o-khayaal se vo zamaane kahaan gae
lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe
sach taaaruf hai mire har sher har tahrir kaa