Shayari
andhere mein tajassus kaa taqaazaa chhoD jaanaa hai
kisi din khaamushi mein khud ko tanhaa chhoD jaanaa hai
shaayad miri nigaah mein koi shigaaf thaa
varna udaas raat kaa chehraa to saaf thaa
شاید مری نگاہ میں کوئی شگاف تھا
ورنہ اداس رات کا چہرہ تو صاف تھا
शायद मिरी निगाह में कोई शिगाफ़ था
वर्ना उदास रात का चेहरा तो साफ़ था

andhere mein tajassus kaa taqaazaa chhoD jaanaa hai
kisi din khaamushi mein khud ko tanhaa chhoD jaanaa hai
rafta rafta khatm qissa ho gayaa honaa hi thaa
vo bhi aakhir mere jaisaa ho gayaa honaa hi thaa
na jaane kab koi aa kar miri takmil kar jaae
isi ummid pe khud ko adhuraa chhoD jaanaa hai
zahr mein Duubi hui parchhaaiyon kaa raqs hai
khud se vaabasta yahaan main bhi nahin tu bhi nahin
canvas par hai ye kis kaa paikar-e-harf-o-sadaa
ik numud-e-aarzu jo be-nishaan hai aur bas
saunpoge apne baa'd viraasat mein kyaa mujhe
bachche kaa ye savaal hai gunge samaaj se
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jab dil kaa jahaaz apnaa tabaahi mein paDe hai
le dauDein hain aansu vahin aaankhon ki gharaabein
kisi ke dard-e-mohabbat ne umr bhar ke liye
khudaa se maang liyaa intikhaab kar ke mujhe
jafaa ki baatein sadaa banaanaa vafaa ki baatein kabhi na karnaa
khudaa ke ghar mein kami nahin hai kiye mein apne kami na karnaa