Shayari
main tumhaare baghair aisaa huun
jis tarah diin hai nabi ke baghair
maar Daalegaa tajassus 'jaanif'
yaa udaasi tumhein le Dubegi
مار ڈالے گا تجسس جانفؔ
یا اداسی تمہیں لے ڈوبے گی
मार डालेगा तजस्सुस 'जानिफ़'
या उदासी तुम्हें ले डूबेगी

main tumhaare baghair aisaa huun
jis tarah diin hai nabi ke baghair
tu khudaa se bhi duur hai laDki
aur dil kaaein kaaein kar rahaa hai
ye kaise log tire aas-paas ghumte hain
inhein to dekh ke meraa dimaagh ghumtaa hai
udaas logon ke maathon ko chumte rahnaa
unhi ki vajh se bar-'aks ho gae tum log
hamein bannaa paDegaa alien varna mire pyaare
tujhe bhi khaaegaa aadam mujhe bhi khaaegaa aadam
mujhe malaal nahin teri bevafaai kaa
main apne aap se aankhein nahin milaa saktaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai gham-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaanon se tabiat raah par laai gai
tum apnaa ranj-o-gham apni pareshaani mujhe de do
tumhein gham ki qasam is dil ki viraani mujhe de do
bahut ghuTan hai koi surat-e-bayaan nikle
agar sadaa na uThe kam se kam fughaan nikle