Shayari
main tumhaare baghair aisaa huun
jis tarah diin hai nabi ke baghair
tu khudaa se bhi duur hai laDki
aur dil kaaein kaaein kar rahaa hai
تو خدا سے بھی دور ہے لڑکی
اور دل کائیں کائیں کر رہا ہے
तू ख़ुदा से भी दूर है लड़की
और दिल काएँ काएँ कर रहा है

main tumhaare baghair aisaa huun
jis tarah diin hai nabi ke baghair
ye kaise log tire aas-paas ghumte hain
inhein to dekh ke meraa dimaagh ghumtaa hai
udaas logon ke maathon ko chumte rahnaa
unhi ki vajh se bar-'aks ho gae tum log
hamein bannaa paDegaa alien varna mire pyaare
tujhe bhi khaaegaa aadam mujhe bhi khaaegaa aadam
bahut hi kam ko mili hain mohabbatein 'jaanif'
ziyaada-tar ko to mahbub ne du'aa di hai
mujhe malaal nahin teri bevafaai kaa
main apne aap se aankhein nahin milaa saktaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe