Shayari
is adaa se mujhe salaam kiyaa
ek hi aan mein ghulaam kiyaa
yaa Dar mujhe teraa hai ki main kuchh nahin kahtaa
yaa hausla meraa hai ki main kuchh nahin kahtaa
یا ڈر مجھے تیرا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
یا حوصلہ میرا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
या डर मुझे तेरा है कि मैं कुछ नहीं कहता
या हौसला मेरा है कि मैं कुछ नहीं कहता

is adaa se mujhe salaam kiyaa
ek hi aan mein ghulaam kiyaa
milte hi nazar dil ko milaayaa nahin jaataa
aaghaaz ko anjaam banaayaa nahin jaataa
ham ishq ke bande hain mazhab se nahin vaaqif
gar kaaba huaa to kyaa but-khaana huaa to kyaa
ye na aane ke bahaane hain sabhi varna miyaan
itnaa to ghar se mire kuchh nahin ghar duur tiraa
faaeda kyaa hai nasihat se phire ho naaseh
ham samajhne ke nahin laakh tu samjhaae hamein
phabaa hai rukh pe tire khush-numaa sanam lekin
hamesha gul pe ye shabnam rahe rahe na rahe
himmat kahaan se laaun ki taa'bir kar sakun
kal raat khvaab dekh rahaa thaa ki khush huun main
vaqt khush khush kaaTne kaa mashvara dete hue
ro paDaa vo aap mujh ko hausla dete hue
baDe hausle the pahle baDe valvale the pahle
jo amal kaa vaqt aayaa hue aap nau-do-gyaaraa
naa-umidi harf-e-tohmat hi sahi kyaa kijiye
tum qarib aate nahin ho aur khudaa miltaa nahin
tiraa khayaal de gayaa hai aasraa kahin kahin
tiraa firaaq hausle baDhaa gayaa kabhi kabhi
ayaan the jazba-e-dil aur bayaan the saare khayaal
koi bhi parda na thaa jab ke the hijaab mein ham