Shayari
hamaaraa jism to phir jism Thahraa
daraaDein aib hain divaar mein bhi
hamaari kaarobaari zindagi kaa kul asaasa
ye kuchh sikke hain aur kuchh parchiyaan rakkhi hui hain
ہماری کاروباری زندگی کا کل اثاثہ
یہ کچھ سکے ہیں اور کچھ پرچیاں رکھی ہوئی ہیں
हमारी कारोबारी ज़िंदगी का कुल असासा
ये कुछ सिक्के हैं और कुछ पर्चियाँ रक्खी हुई हैं

hamaaraa jism to phir jism Thahraa
daraaDein aib hain divaar mein bhi
ik yaqin-parvar gumaan aur ik hayaat-aamez khvaab
jaise koi aaegaa aur uljhanein le jaaegaa
zamin ke maalik-o-mukhtaar ki sunnat samajh kar
khaDaavein pahn liin aur bakriyaan rakkhi hui hain
tapte sahraa khuun piyeinge chaDhtaa suraj Dhal jaaegaa
baiThi hui hai jis mein sakina aaj vo khema jal jaaegaa
jal rahaa hai jo lab-e-baam abhi ek charaagh
bujh gayaa ye bhi to phir raat mukammal hogi
dost-daari ke saliqe se bahut vaaqif huun
ab mujhe haath milaane kaa hunar aataa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi