Shayari
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
ajiib shor machaane lage hain sannaaTe
ye kis tarah ki khamoshi har ik sadaa mein hai
عجیب شور مچانے لگے ہیں سناٹے
یہ کس طرح کی خموشی ہر اک صدا میں ہے
अजीब शोर मचाने लगे हैं सन्नाटे
ये किस तरह की ख़मोशी हर इक सदा में है

sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
log kahte hain ki vo shakhs hai khushbu jaisaa
saath shaayad use le aae havaa dekhte hain
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
tu mire paas jab nahin hotaa
tujh se kartaa huun kis qadar baatein
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
kahin kahin to zamin aasmaan se unchi hai
ye raaz mujh pe khulaa siDhiyaan utarte hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain