Shayari
un se milne ki iltijaa ki hai
dil-e-naadaan ne ye khataa ki hai
A
Azeem Hyderabadikhud-farebi mein mubtalaa rakh kar
zulm ki tum ne intihaa ki hai
خود فریبی میں مبتلا رکھ کر
ظلم کی تم نے انتہا کی ہے
ख़ुद-फ़रेबी में मुब्तला रख कर
ज़ुल्म की तुम ने इंतिहा की है
khud-farebi si khud-farebi hai
paas ke Dhol bhi suhaane lage
vahi to markazi kirdaar hai kahaani kaa
usi pe khatm hai taasir bevafaai ki
har shakhs ko fareb-e-nazar ne kiyaa shikaar
har shakhs gum hai gumbad-e-jaan ke hisaar mein
fareb-e-karam ik to un kaa hai is par
sitam meri khush-fahmiyaan aur bhi hain
dil miraa shaaki-e-jafaa na huaa
ye vafaadaar bevafaa na huaa
aadmi jaan ke khaataa hai mohabbat mein fareb
khud-farebi hi mohabbat kaa sila ho jaise