Shayari
khud-farebi mein mubtalaa rakh kar
zulm ki tum ne intihaa ki hai
A
Azeem Hyderabadiun se milne ki iltijaa ki hai
dil-e-naadaan ne ye khataa ki hai
ان سے ملنے کی التجا کی ہے
دل ناداں نے یہ خطا کی ہے
उन से मिलने की इल्तिजा की है
दिल-ए-नादाँ ने ये ख़ता की है
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai