Shayari
ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
ye maskharon ko vazife yunhi nahin milte
raiis khud nahin hanste hansaanaa paDtaa hai
یہ مسخروں کو وظیفے یوں ہی نہیں ملتے
رئیس خود نہیں ہنستے ہنسانا پڑتا ہے
ये मस्ख़रों को वज़ीफ़े यूँही नहीं मिलते
रईस ख़ुद नहीं हँसते हँसाना पड़ता है

ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
shikastagi mein bhi kyaa shaan hai imaarat ki
ki dekhne ko ise sar uThaanaa paDtaa hai
raasto kyaa hue vo log ki aate-jaate
mere aadaab pe kahte the ki jiite rahiye
kisi ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThaanaa paDtaa hai
vo jis ke sehn mein koi gulaab khil na sakaa
tamaam shahr ke bachchon se pyaar kartaa thaa
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
main jaagtaa huun tiraa khvaab dekhne ke liye
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
munh chhupaanaa paDe na dushman se
ai shab-e-gham sahar na ho jaae
qahr hai zahr hai aghyaar ko laanaa shab-e-vasl
aise aane se to behtar hai na aanaa shab-e-vasl
reza reza apnaa paikar ik nai tartib mein
canvas par dekh kar hairaan ho jaanaa paDaa
zarre zarre mein bikhar jaanaa hai takmil-e-hayaat
mujh ko ye zebaa nahin ab zaat mein simTaa rahun