Shayari
dariyaa paar utarne vaale ye bhi jaan nahin paae
kise kinaare par le Duubaa paar utar jaane kaa gham
raushni DhunD ke laanaa koi mushkil to na thaa
lekin is dauD mein har shakhs ko jalte dekhaa
روشنی ڈھونڈ کے لانا کوئی مشکل تو نہ تھا
لیکن اس دوڑ میں ہر شخص کو جلتے دیکھا
रौशनी ढूँड के लाना कोई मुश्किल तो न था
लेकिन इस दौड़ में हर शख़्स को जलते देखा

dariyaa paar utarne vaale ye bhi jaan nahin paae
kise kinaare par le Duubaa paar utar jaane kaa gham
main tark-e-taalluq par zinda huun so mujrim huun
kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa
har tafsil mein jaane vaalaa zehn savaal ki zad par hai
har tashrih ke pichhe hai anjaam se Dar jaane kaa gham
koi aasaan rifaaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa
ai khvaab-e-paziraai tu kyuun miri aankhon mein
andesha-e-duniyaa ki taabir uThaa laayaa
ai ghubaar-e-khvaahish-e-yak-umr apni raah le
is gali mein tujh se pahle ik jahaan maujud hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein
husn se arz-e-shauq na karnaa husn ko zak pahunchaanaa hai
ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchaai hai
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
main jab 'qatil' apnaa sab kuchh luTaa chukaa huun
ab meraa pyaar mujh se daanaai chaahtaa hai