Shayari
main tark-e-taalluq par zinda huun so mujrim huun
kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa
ai ghubaar-e-khvaahish-e-yak-umr apni raah le
is gali mein tujh se pahle ik jahaan maujud hai
اے غبار خواہش یک عمر اپنی راہ لے
اس گلی میں تجھ سے پہلے اک جہاں موجود ہے
ऐ ग़ुबार-ए-ख़्वाहिश-ए-यक-उम्र अपनी राह ले
इस गली में तुझ से पहले इक जहाँ मौजूद है

main tark-e-taalluq par zinda huun so mujrim huun
kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa
har tafsil mein jaane vaalaa zehn savaal ki zad par hai
har tashrih ke pichhe hai anjaam se Dar jaane kaa gham
koi aasaan rifaaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa
ai khvaab-e-paziraai tu kyuun miri aankhon mein
andesha-e-duniyaa ki taabir uThaa laayaa
raushni DhunD ke laanaa koi mushkil to na thaa
lekin is dauD mein har shakhs ko jalte dekhaa
dariyaa paar utarne vaale ye bhi jaan nahin paae
kise kinaare par le Duubaa paar utar jaane kaa gham
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai