Shayari
vahi aansu vahi maazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaaTtaa hai
havas shaamil hai thoDi si duaa mein
abhi is lau mein halkaa saa dhuaan hai
ہوس شامل ہے تھوڑی سی دعا میں
ابھی اس لو میں ہلکا سا دھواں ہے
हवस शामिल है थोड़ी सी दुआ में
अभी इस लौ में हल्का सा धुआँ है

vahi aansu vahi maazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaaTtaa hai
shaam utri hai phir ahaate mein
jism par raushni ke ghaav liye
taalluq tark to kar lein sabhi se
bhale lagte hain kuchh nuqsaan lekin
baad muddat ye jilaa kis ke hunar ne bakhshi
baad muddat mire aaine mein chehre aae
main saare faasle tai kar chukaa huun
khudi jo darmiyaan thi darmiyaan hai
aaine mein hai phir vahi surat
yuun hi hoti hai tarjumaani kyaa
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
mohabbat khud mohabbat kaa sila hai 'aarfi' lekin
koi aasaan hai kyaa be-niyaaz-e-muddaaa honaa
us se mile zamaana huaa lekin aaj bhi
dil se duaa nikalti hai khush ho jahaan bhi ho
musibat aur lambi zindagaani
buzurgon ki duaa ne maar Daalaa
yahaan se jab gai thi tab asar par khaar khaae thi
vahaan se phuul barsaati hui palTi duaa meri