Shayari
dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil
uThe taazim de joban kisi kaa
nairangiyaan falak ki jabhi hain ki hon baham
kaali ghaTaa safed pyaale sharaab-e-surkh
نیرنگیاں فلک کی جبھی ہیں کہ ہوں بہم
کالی گھٹا سفید پیالے شراب سرخ
नैरंगियाँ फ़लक की जभी हैं कि हों बहम
काली घटा सफ़ेद प्याले शराब-ए-सुर्ख़

dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil
uThe taazim de joban kisi kaa
yaad mein khvaab mein tasavvur mein
aa ki aane ke hain hazaar tariq
kabhi hansaayaa kabhi rulaayaa kabhi rulaayaa kabhi hansaayaa
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar dabaa dabaa kar
nahin ye aadmi kaa kaam vaaiz
hamaare but taraashe hain khudaa ne
lahu Tapkaa kisi ki aarzu se
hamaari aarzu Tapki lahu se
shaikh ke maathe pe miTTi barhaman ke bar mein but
aadmi dair-o-haram se khaak patthar le chalaa
tum sitaaron ke bharose pe na baiThe rahnaa
apni tadbir se taqdir banaate jaao
barson se ghumtaa hai isi tarah raat din
lekin zamin milti nahin aasmaan ko
hal na thaa mushkil kaa koi us ke paas
sirf vaade aasmaani de gayaa
vo jugnu ho sitaara ho ki aansu
andhere mein sabhi mahtaab se hain
khinchaa khinchaa nazar aataa hai ham se har aanchal
sitaare toD ke laaein to laaein kis ke liye
falak se roz utarte hain raushni ke khutut
magar na chamke muqaddar gharib-khaanon ke