Shayari
ham tum mein kal duuri bhi ho sakti hai
vajh koi majburi bhi ho sakti hai
jitnaa hangaama ziyaada hogaa
aadmi utnaa hi tanhaa hogaa
جتنا ہنگامہ زیادہ ہوگا
آدمی اتنا ہی تنہا ہوگا
जितना हंगामा ज़ियादा होगा
आदमी उतना ही तन्हा होगा

ham tum mein kal duuri bhi ho sakti hai
vajh koi majburi bhi ho sakti hai
kahin intihaa ki malaamatein kahin pattharon se aTi chhatein
tire shahr mein mire baa'd ab koi sar-phiraa nahin aaegaa
khol chehron pe chaDhaane nahin aate ham ko
gaanv ke log hain ham shahr mein kam aate hain
bhuuk chehron pe liye chaand se pyaare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubaare bachche
garmi lagi to khud se alag ho ke so gae
sardi lagi to khud ko dobaara pahan liyaa
raat ko roz Duub jaataa hai
chaand ko tairnaa sikhaanaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jo teri bazm se uTThaa vo is tarah uTThaa
kisi ki aankh mein aansu kisi ke daaman mein
khvaab aur tamannaa kaa kyaa hisaab rakhnaa hai
khvaahishein hain sadiyon ki umr to zaraa si hai
ghamon ne gher liyaa hai mujhe to kyaa gham hai
main muskuraa ke jiyungaa tiri khushi ke liye