Shayari
na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
khudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
rahrav-e-raah-e-mohabbat rah na jaanaa raah mein
lazzat-e-sahraa-navardi duri-e-manzil mein hai
رہرو راہ محبت رہ نہ جانا راہ میں
لذت صحرا نوردی دورئ منزل میں ہے
रहरव-ए-राह-ए-मोहब्बत रह न जाना राह में
लज़्ज़त-ए-सहरा-नवर्दी दूरी-ए-मंज़िल में है

na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
khudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
ek din vo din the rone pe hansaa karte the ham
ek ye din hain ki ab hansne pe ronaa aae hai
ik ghalat sajde se kyaa hotaa hai vaaiz kuchh na puchh
umr bhar ki sab riyaazat khaak mein mil jaae hai
ye zindagi bhi koi zindagi hui 'bismil'
na ro sake na kabhi hans sake Thikaane se
aazaadi ne baazu bhi salaamat nahin rakkhe
ai taaqat-e-parvaaz tujhe laaein kahaan se
kyaa karein jaam-o-subu haath pakaD lete hain
ji to kahtaa hai ki uTh jaaiye mai-khaane se
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaan insaan ki lene vaalon mein
ek hai maut dusraa hai ishq
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
hazaaron ghar hue hain is se viraan
rahe aabaad sarkaar-e-mohabbat
sunaa haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayaan mein