Shayari
husn bhi kambakht kab khaali hai soz-e-ishq se
shama bhi to raat bhar jalti hai parvaane ke saath
dohraai jaa sakegi na ab daastaan-e-ishq
kuchh vo kahin se bhuul gae hain kahin se ham
دہرائی جا سکے گی نہ اب داستان عشق
کچھ وہ کہیں سے بھول گئے ہیں کہیں سے ہم
दोहराई जा सकेगी न अब दास्तान-ए-इश्क़
कुछ वो कहीं से भूल गए हैं कहीं से हम

husn bhi kambakht kab khaali hai soz-e-ishq se
shama bhi to raat bhar jalti hai parvaane ke saath
tum jab aate ho to jaane ke liye aate ho
ab jo aa kar tumhein jaanaa ho to aanaa bhi nahin
sukun nasib huaa ho kabhi jo tere baghair
khudaa kare ki mujhe tu kabhi nasib na ho
ro rahaa huun aaj main saare jahaan ke saamne
roegaa kal dekhnaa saaraa jahaan mere liye
kisi ke sitam is qadar yaad aae
zabaan thak gai mehrbaan kahte kahte
kaabe mein musalmaan ko kah dete hain kaafir
but-khaane mein kaafir ko bhi kaafar nahin kahte
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
tumhaaraa naam liyaa thaa kabhi mohabbat se
miThaas us ki abhi tak miri zabaan mein hai