Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
vaaiz baDaa mazaa ho agar yuun azaab ho
dozakh mein paanv haath mein jaam-e-sharaab ho
واعظ بڑا مزا ہو اگر یوں عذاب ہو
دوزخ میں پاؤں ہاتھ میں جام شراب ہو
वाइज़ बड़ा मज़ा हो अगर यूँ अज़ाब हो
दोज़ख़ में पाँव हाथ में जाम-ए-शराब हो

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
is adab-gaah kuun tuun masjid-e-jaame mat buujh
shaikh be-baak na jaa gosha-e-mai-khaane mein
tire sukhan mein ai naaseh nahin hai kaifiyyat
zabaan-e-qulqul-e-minaa siin sun kalaam-e-sharaab
muvaafaqat kare kyuun mai-kashon sati zaahid
idhar sharaab udhar masjid-o-musallaa hai
sajaao bazm ghazal gaao jaam taaza karo
''bahut sahi gham-e-giti sharaab kam kyaa hai''