Shayari
is jahaan mein nahin koi ahl-e-vafaa
ai 'fanaa' is jahaan se kinaaraa karo
aaghaaz to achchhaa thaa 'fanaa' din bhi bhale the
phir raas mujhe ishq kaa anjaam na aayaa
آغاز تو اچھا تھا فناؔ دن بھی بھلے تھے
پھر راس مجھے عشق کا انجام نہ آیا
आग़ाज़ तो अच्छा था 'फ़ना' दिन भी भले थे
फिर रास मुझे इश्क़ का अंजाम न आया

is jahaan mein nahin koi ahl-e-vafaa
ai 'fanaa' is jahaan se kinaaraa karo
uThaa parda to mahshar bhi uThegaa dida-e-dil mein
qayaamat chhup ke baiThi hai naqaab-e-ru-e-qaatil mein
ai 'fanaa' meri mayyat pe kahte hain vo
aap ne apnaa vaada vafaa kar diyaa
kyaa bhuul gae hain vo mujhe puchhnaa qaasid
naama koi muddat se mire kaam na aayaa
tamaam hosh ki duniyaa nisaar hai us par
tiri gali mein jise niind aa gai hogi
na dair mein na haram mein jabin jhuki hogi
tumhaare dar pe adaa meri bandagi hogi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye zakhm-e-ishq hai koshish karo haraa hi rahe
kasak to jaa na sakegi agar ye bhar bhi gayaa
naa-shanaasaan-e-mohabbat kaa gila kyaa ki yahaan
ajnabi vo hain ki thi jin se shanaasaai bhi
ik-aadh baar to jaan vaarni hi paDti hai
mohabbatein hon to bantaa nahin bahaana koi