Shayari
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
maut kaa intizaar baaqi hai
aap kaa intizaar thaa na rahaa
موت کا انتظار باقی ہے
آپ کا انتظار تھا نہ رہا
मौत का इंतिज़ार बाक़ी है
आप का इंतिज़ार था न रहा

na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ik ghaDi zindagi mein aati hai
maut kaa intizaar hotaa hai
anjaam-e-hijr kyaa hai ye tum khud hi dekh lo
ham intizaar-e-yaar mein patthar ke ho gae
sadiyon tak ehtimaam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizaar-e-sahar kar rahe hain ham
main lauTne ke iraade se jaa rahaa huun magar
safar safar hai miraa intizaar mat karnaa