Shayari
donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
raqs karte hue bagulon mein
maatami shor bhi havaa kaa hai
رقص کرتے ہوئے بگولوں میں
ماتمی شور بھی ہوا کا ہے
रक़्स करते हुए बगूलों में
मातमी शोर भी हवा का है

donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
tere saanche mein Dhal gayaa aakhir
shahr saaraa badal gayaa aakhir
jise bhi dost banaayaa vo ban gayaa dushman
ye ham ne kaun si taqsir ki sazaa paai
haar jaaegi zindagi lekin
haarne kaa nahin miraa ye ishq
kis saadgi se vo bhi daghaa de gayaa mujhe
jis shakhs ne kahaa thaa kabhi devtaa mujhe
tum use le chalo lab-e-kausar
ai farishto ye karbalaai hai
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa