Shayari
vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man
baaqi sab jazbaat kaa izhaar kam kar dijiye

vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
phir soch ke ye sabr kiyaa ahl-e-havas ne
bas ek mahina hi to ramzaan rahegaa
mire ashaar hain vo aasmaani khvaab jin ko
miri miTTi ke honThon par utaaraa jaa rahaa hai
ik aayat-e-vajud huun miTTi ke Dher mein
mere nuzul ki to koi shaan hi nahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae