Shayari
kitne shikve gile hain pahle hi
raah mein faasle hain pahle hi
yaad aaeinge zamaane ko misaalon ke liye
jaise bosida kitaabein hon havaalon ke liye
یاد آئیں گے زمانے کو مثالوں کے لیے
جیسے بوسیدہ کتابیں ہوں حوالوں کے لیے
याद आएँगे ज़माने को मिसालों के लिए
जैसे बोसीदा किताबें हों हवालों के लिए

kitne shikve gile hain pahle hi
raah mein faasle hain pahle hi
jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang
sab titliyon ne aur dhanak ne uDaa liye
safar mein koi kisi ke liye Thahartaa nahin
na muD ke dekhaa kabhi saahilon ko dariyaa ne
pukaaraa jab mujhe tanhaai ne to yaad aayaa
ki apne saath bahut mukhtasar rahaa huun main
do dariyaa bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyaas bujhaate hain
jalte mausam mein koi faarigh nazar aataa nahin
Dubtaa jaataa hai har ik peD apni chhaanv mein
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe
masruf thaa main kuchh bhi na karne ke baavajud