Shayari
bhaTak na jaataa agar zaat ke bayaabaan mein
to meraa naqsh-e-qadam meraa raahbar hotaa
bahki hui ruhon ko tasalli de kar
khoe hue ajsaam ki jannat ho jaa
بہکی ہوئی روحوں کو تسلی دے کر
کھوئے ہوئے اجسام کی جنت ہو جا
बहकी हुई रूहों को तसल्ली दे कर
खोए हुए अज्साम की जन्नत हो जा

bhaTak na jaataa agar zaat ke bayaabaan mein
to meraa naqsh-e-qadam meraa raahbar hotaa
kaanch ke alfaaz kaaghaz par na rakh
sang-e-maani ban ke Takraaungaa main
hisaar-e-khauf-o-hiraas mein hai butaan-e-vahm-o-gumaan ki basti
mujhe khabar hi nahin ki ab main junub mein yaa shumaal mein huun
jab koi naujavaan martaa hai
aarzu kaa jahaan martaa hai
aap ki tasvir thi akhbaar mein
kyaa sabab hai aap ghar jaate nahin
mujh se kyaa puchhte ho naam pata
main to bas aap kaa hi saaya huun
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
munh meri taraf hai to nazar ghair ki jaanib
karte hain kidhar baat kidhar dekh rahe hain
apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
teraa mujrim huun mujhe Duub ke mar jaane de