Shayari
raat dariche tak aa kar ruk jaati hai
band aankhon mein us kaa chehra rahtaa hai
sun rahe hain kaan jo kahte hain sab
log lekin sochte kuchh aur hain
سن رہے ہیں کان جو کہتے ہیں سب
لوگ لیکن سوچتے کچھ اور ہیں
सुन रहे हैं कान जो कहते हैं सब
लोग लेकिन सोचते कुछ और हैं

raat dariche tak aa kar ruk jaati hai
band aankhon mein us kaa chehra rahtaa hai
sukun-e-dil ke liye ishq to bahaana thaa
vagarna thak ke kahin to Thahar hi jaanaa thaa
ulajh ke rah gae chehre miri nigaahon mein
kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang
dikhaai detaa hai jo kuchh kahin vo khvaab na ho
jo sun rahi huun vo dhokaa na ho samaaat kaa
bhuul gai huun kis se meraa naata thaa
aur ye naata kaise TuuTaa bhuul gai
main ne maan kaa libaas jab pahnaa
mujh ko titli ne apne rang diye
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
ghaayal vajud soch ki baisaakhiyaan liye
milne chalaa hai guzre hue maah-o-saal se
ye soch kar tiri mahfil se ham chale aae
ki ek baar to baDh jaae hausla dil kaa