Shayari
jaisaa ji mein aae vaisaa kar jaanaa
itnaa bhi aasaan nahin hai mar jaanaa
nahin charaagh jalaaeinge ab kisi dar par
ham aap apni mohabbat mazaar kar leinge
نہیں چراغ جلائیں گے اب کسی در پر
ہم آپ اپنی محبت مزار کر لیں گے
नहीं चराग़ जलाएँगे अब किसी दर पर
हम आप अपनी मोहब्बत मज़ार कर लेंगे

jaisaa ji mein aae vaisaa kar jaanaa
itnaa bhi aasaan nahin hai mar jaanaa
ik nazar sarsari do chaar zaruri baatein
ghar mein rakkhaa koi akhbaar samajhtaa hai mujhe
ik ghaDi mujh ko chaahiye aisi
vaqt jis mein tamaam teraa ho
kuchh nahin maangte magar kuchh log
kuchh nahin chhoDte hamaare paas
tabhi to dhundli hain us ki meri tamaam raahein
vo mujh ko kohre ki chaand raaton mein sochtaa hai
main ek vo huun jo aap khud se bhi mukhtalif hai
main vo nahin huun jo aap mujh ko samajh rahe the
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein