Shayari
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
fazaa tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin
pahunch ke manzil-e-jaanaan pe aankh bhar aai
فضا تبسم صبح بہار تھی لیکن
پہنچ کے منزل جاناں پہ آنکھ بھر آئی
फ़ज़ा तबस्सुम-ए-सुब्ह-ए-बहार थी लेकिन
पहुँच के मंज़िल-ए-जानाँ पे आँख भर आई

na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
hai ab is maamure mein qaht-e-gham-e-ulfat 'asad'
ham ne ye maanaa ki dilli mein rahein khaaveinge kyaa
main jab 'qatil' apnaa sab kuchh luTaa chukaa huun
ab meraa pyaar mujh se daanaai chaahtaa hai
dil-e-har-qatra hai saaz-e-anal-bahar
ham us ke hain hamaaraa puchhnaa kyaa