Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
ikkaa-dukkaa sadaa-e-zanjir
zindaan mein raat ho gai hai
اے مذاہب کے خدا تیری مشیت جو بھی ہو
عشق کو دیگر خدا دیگر مشیت چاہیے
ऐ मज़ाहिब के ख़ुदा तेरी मशिय्यत जो भी हो
इश्क़ को दीगर ख़ुदा दीगर मशिय्यत चाहिए

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai