Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
maut kaa bhi ilaaj ho shaayad
zindagi kaa koi ilaaj nahin
موت کا بھی علاج ہو شاید
زندگی کا کوئی علاج نہیں
मौत का भी इलाज हो शायद
ज़िंदगी का कोई इलाज नहीं

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kyuun hamaare saans bhi hote hain logon par giraan
ham bhi to ik umr le kar is jahaan mein aae the
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis ko bataaein ab ki na chal kar tamaam umr
ham ne khud apne aap mein kitnaa safar kiyaa