Shayari
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
ab bahut duur nahin manzil-e-dost
kaabe se chand qadam aur sahi
اب بہت دور نہیں منزل دوست
کعبے سے چند قدم اور سہی
अब बहुत दूर नहीं मंज़िल-ए-दोस्त
काबे से चंद क़दम और सही

hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ham se nafrat karo ki pyaar karo
koi rishta to ustuvaar karo
nae yaaron se bhi is shakhs ki saahib-salaamat hai
hamaare saath bhi yaari jo pahle thi so ab bhi hai
aa dost saath aa dar-e-maazi se maang laaein
vo apni zindagi ki javaan bhi hasin bhi thi
ghaDi ghaDi na idhar dekhiye ki dil pe mujhe
hai ikhtiyaar par itnaa bhi ikhtiyaar nahin
zamin-e-dil pe mohabbat ki aab-yaari ko
bahut hi TuuT ke barsi ghaTaa udaasi ki