Shayari
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
ہے نوید بہار ہر لب پر
کم نصیبوں کو اعتبار نہیں
है नवेद-ए-बहार हर लब पर
कम-नसीबों को ए'तिबार नहीं

gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
mere liye jiine kaa sahaaraa hai abhi tak
vo ahd-e-tamannaa ki tumhein yaad na hogaa
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
baagh-e-hasti se bahut duur the ham
bu kisi gul ki lagaa laai hai
kabhi shaakh o sabza o barg par kabhi ghuncha o gul o khaar par
main chaman mein chaahe jahaan rahun miraa haq hai fasl-e-bahaar par
rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the