Shayari
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
chashm-e-sayyaad pe har lahza nazar rakhtaa hai
haae vo said jo kahne ko tah-e-daam nahin
چشم صیاد پہ ہر لحظہ نظر رکھتا ہے
ہائے وہ صید جو کہنے کو تہ دام نہیں
चश्म-ए-सय्याद पे हर लहज़ा नज़र रखता है
हाए वो सैद जो कहने को तह-ए-दाम नहीं

hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
use ab bhuul jaane kaa iraada kar liyaa hai
bharosa ghaaliban khud par ziyaada kar liyaa hai
jaate hue kamre ki kisi chiiz ko chhu de
main yaad karungaa ki tire haath lage the
lamhaat-e-vasl yaad jo aae shab-e-firaaq
yak-lakht surkh ho gae aariz be-ikhtiyaar
yaad-e-jaanaan utar ke aai hai
shab ke ziine se chaandni ki tarah