Shayari
jaa sake na masjid tak jama the bahut zaahid
mai-kade mein aa baiThe jab na raastaa paayaa
H
Habeeb Moosavitezi-e-baada kujaa talkhi-e-guftaar kujaa
kund hai nashtar-e-saaqi se sinaan-e-vaaiz
تیزیٔ بادہ کجا تلخیٔ گفتار کجا
کند ہے نشتر ساقی سے سنان واعظ
तेज़ी-ए-बादा कुजा तल्ख़ी-ए-गुफ़्तार कुजा
कुंद है नश्तर-ए-साक़ी से सिनान-ए-वाइज़
jaa sake na masjid tak jama the bahut zaahid
mai-kade mein aa baiThe jab na raastaa paayaa
mai-kada hai shaikh saahab ye koi masjid nahin
aap shaayad aae hain rindon ke bahkaae hue
dil liyaa hai to khudaa ke liye kah do saahab
muskuraate ho tumhin par miraa shak jaataa hai
mai-kade ko jaa ke dekh aauun ye hasrat dil mein hai
zaahid us miTTi ki ulfat meri aab-o-gil mein hai
gulon kaa daur hai bulbul maze bahaar mein luuT
khizaan machaaegi aate hi is dayaar mein luuT
jab ki vahdat hai baais-e-kasrat
ek hai sab kaa raastaa vaaiz
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
jaa paDe chup ho ke jab shahr-e-khamoshaan mein 'nazir'
ye ghazal ye rekhta ye sher-khvaani phir kahaan
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
anjaam ko pahunchungaa main anjaam se pahle
khud meri kahaani bhi sunaaegaa koi aur
aankh tumhaari mast bhi hai aur masti kaa paimaana bhi
ek chhalakte saaghar mein mai bhi hai aur mai-khaana bhi