Shayari
main na dariyaa huun na saahil na safina na bhanvar
daavar-e-gham kisi saanche mein to Dhaale mujh ko
safine Duub gae kitne dil ke saagar mein
khudaa kare tiri yaadon ki naav chalti rahe
سفینے ڈوب گئے کتنے دل کے ساگر میں
خدا کرے تری یادوں کی ناؤ چلتی رہے
सफ़ीने डूब गए कितने दिल के सागर में
ख़ुदा करे तिरी यादों की नाव चलती रहे

main na dariyaa huun na saahil na safina na bhanvar
daavar-e-gham kisi saanche mein to Dhaale mujh ko
mujh ko 'jalil' kaun kahegaa shikasta-dil
khaayaa thaa ek zakhm so vo be-nishaan rahaa
havaa ke dosh pe uDti hui khabar to suno
havaa ki baat bahut duur jaane vaali hai
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai