Shayari
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
jahaan dikhaai na detaa thaa ek Tiila bhi
vahaan se log uThaa kar pahaaD laae hain
جہاں دکھائی نہ دیتا تھا ایک ٹیلہ بھی
وہاں سے لوگ اٹھا کر پہاڑ لائے ہیں
जहाँ दिखाई न देता था एक टीला भी
वहाँ से लोग उठा कर पहाड़ लाए हैं

kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
kuchh usulon kaa nasha thaa kuchh muqaddas khvaab the
har zamaane mein shahaadat ke yahi asbaab the
gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
jo bhi kahnaa hai kaho saaf shikaayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinaayaat se ji Dartaa hai
gard-e-shohrat ko bhi daaman se lipaTne na diyaa
koi ehsaan zamaane kaa uThaayaa hi nahin
'iqbaal' ki navaa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon kaa taaj hai
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
ek pardaa hai sirf saanson kaa
saans Thahre to kaaenaat khule
fitrat ke taqaaze kabhi badle nahin jaate
khushbu hai agar vo to bikharnaa hi paDegaa
dam bhar rahe habaab-e-namat kaaenaat mein
is zindagi mein naam nahin maah-o-saal kaa
farz hai dariyaa-dilon par khaaksaaron ki madad
farsh sahraa ke liye laazim huaa sailaab kaa
but nazar aaeinge maashuqon ki kasrat hogi
aaj but-khaana mein allaah ki qudrat hogi