Shayari
vo ek pal ki rifaaqat bhi kyaa rifaaqat thi
jo de gai hai mujhe umar bhar ki tanhaai
fitrat ke taqaaze kabhi badle nahin jaate
khushbu hai agar vo to bikharnaa hi paDegaa
فطرت کے تقاضے کبھی بدلے نہیں جاتے
خوشبو ہے اگر وہ تو بکھرنا ہی پڑے گا
फ़ितरत के तक़ाज़े कभी बदले नहीं जाते
ख़ुश्बू है अगर वो तो बिखरना ही पड़ेगा

vo ek pal ki rifaaqat bhi kyaa rifaaqat thi
jo de gai hai mujhe umar bhar ki tanhaai
abhi se paanv ke chhaale na dekho
abhi yaaro safar ki ibtidaa hai
taalaab to barsaat mein ho jaate hain kam-zarf
baahar kabhi aape se samundar nahin hotaa
guzar rahaa huun main saudaa-garon ki basti se
badan pe dekhiye kab tak libaas rahtaa hai
jahaan pe Duub gayaa meri aas kaa suraj
usi jagah vo sitaara-shanaas rahtaa hai
khil rahe hain gulaab zakhmon ke
shukriya aap ki navaazish kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe