Shayari
ishq mein khvaab kaa khayaal kise
na lagi aankh jab se aankh lagi
mohabbat ek tarah ki niri samaajat hai
main chhoDun huun tiri ab justuju huaa so huaa
محبت ایک طرح کی نری سماجت ہے
میں چھوڑوں ہوں تری اب جستجو ہوا سو ہوا
मोहब्बत एक तरह की निरी समाजत है
मैं छोड़ूँ हूँ तिरी अब जुस्तुजू हुआ सो हुआ

ishq mein khvaab kaa khayaal kise
na lagi aankh jab se aankh lagi
buraa na maane to ik baat puchhtaa huun main
kisi kaa dil kabhi tujh se bhi khush huaa hargiz
haq adaa karnaa mohabbat kaa bahut dushvaar hai
haal bulbul kaa sunaa dekhaa hai parvaane ko ham
bhar ke nazar yaar na dekhaa kabhi
jab gayaa aankh hi bhar kar gayaa
zulf-e-kalmunhi ko pyaare itnaa bhi sar mat chaDhaa
be-mahaabaa munh pe tere paanv karti hai daraaz
naa-khalaf bas-ki uThi ishq o junun ki aulaad
koi aabaad-kun-e-khaana-e-zanjir nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein
biich dariyaa mein utar kar dekhiye
'ishq-dariyaa mein kinaare kuchh nahin
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
sunte hain ishq naam ke guzre hain ik buzurg
ham log bhi faqir usi silsile ke hain