Shayari
aah ye barsaat kaa mausam ye zakhmon ki bahaar
ho gayaa hai khun-e-dil aankhon se jaari in dinon
nigaah-e-shauq agar dil ki tarjumaan ho jaae
to zarra zarra mohabbat kaa raaz-daan ho jaae
نگاہ شوق اگر دل کی ترجماں ہو جائے
تو ذرہ ذرہ محبت کا راز داں ہو جائے
निगाह-ए-शौक़ अगर दिल की तर्जुमाँ हो जाए
तो ज़र्रा ज़र्रा मोहब्बत का राज़-दाँ हो जाए

aah ye barsaat kaa mausam ye zakhmon ki bahaar
ho gayaa hai khun-e-dil aankhon se jaari in dinon
chaman vahi hai ghaTaaein vahi bahaar vahi
magar gulon mein vo ab rang-o-bu nahin baaqi
rahein gham ki sharar-angeziyaan yaa-rab qayaamat tak
'hayaa' gham se na milti gar kabhi fursat to achchhaa thaa
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se