Shayari
dil mein sajde kiyaa karo 'mufti'
is mein parvardigaar rahtaa hai
yaad kaa kyaa hai aa gai phir se
aankh kaa kyaa hai phir se ro li hai
یاد کا کیا ہے آ گئی پھر سے
آنکھ کا کیا ہے پھر سے رو لی ہے
याद का क्या है आ गई फिर से
आँख का क्या है फिर से रो ली है

dil mein sajde kiyaa karo 'mufti'
is mein parvardigaar rahtaa hai
yuun to patthar bahut se dekhe hain
koi tum saa nazar nahin aayaa
ab to kar Daaliye vafaa us ko
vo jo vaada udhaar rahtaa hai
kaisaa jaadu hai samajh aataa nahin
niind meri khvaab saare aap ke
ik zaraa si baat pe ye munh banaanaa ruThnaa
is tarah to koi apnon se khafaa hotaa nahin
tere khvaabon ki lat lagi jab se
raat kaa intizaar rahtaa hai
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
tum se chhuT kar bhi tumhein bhulnaa aasaan na thaa
tum ko hi yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye
is zindagi mein itni faraaghat kise nasib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaaein ham