Shayari
main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
koi to phuul khilaae duaa ke lahje mein
ajab tarah ki ghuTan hai havaa ke lahje mein
کوئی تو پھول کھلائے دعا کے لہجے میں
عجب طرح کی گھٹن ہے ہوا کے لہجے میں
कोई तो फूल खिलाए दुआ के लहजे में
अजब तरह की घुटन है हवा के लहजे में

main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
hamin mein rahte hain vo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasmaan ke hote hue
dayaar-e-nur mein tira-shabon kaa saathi ho
koi to ho jo miri vahshaton kaa saathi ho
main chup rahaa ki vazaahat se baat baDh jaati
hazaar sheva-e-husn-e-bayaan ke hote hue
subh savere ran paDnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raaton raat chalaa jaae jis ko jaanaa hai
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali
dam jo niklaa to muddaaa niklaa
ek ke saath dusraa niklaa
iltijaa karte hue pyaasaa parinda mar gayaa
ab to dariyaa ko hayaa se Duub marnaa chaahiye
nahin mumkin lab-e-aashiq se harf-e-muddaaa nikle
jise tum ne kiyaa khaamosh us se kyaa sadaa nikle
sher kaa tiir kisi kaa ho agar dil ko lagaa
kahne vaale ko bahut dil se duaa di ham ne
mujhe yaad karne se ye muddaaa thaa
nikal jaae dam hichkiyaan aate aate
miraa kamaal ki main is fazaa mein zinda huun
du'aa na milte hue aur havaa na hote hue